Seni

Pertanyaan

lirik lagu janam janam, ost dilwale

1 Jawaban

  • Janam janam janam saath chalna yunhi
    Kasam tumhe kasam aake milna yahin
    Ek jaan hai bhale do badan ho judaa
    Meri hoke humesha hi rehna
    Kabhi na kehna alvida

    Meri subah ho tumhi aur tumhi shaam ho
    Tum dard ho tum hi aaraam ho
    Meri duaaon se aati hai bas ye sadaa
    Meri hoke humesha hi rehna
    Kabhi na kehna alvida

    Aha ha ha o

    Meri hoke humesha hi rehna
    Kabhi na kehna Alvida

    Teri baahon mein hai mere dono jahaan
    Tu rahe jidhar meri jannat wahin
    Jal rahi agan hai jo ye do tarfa
    Na bujhe kabhi meri mannat yahi
    Tu meri aarzu, main teri aashiqui
    Tu meri shayari, main teri mausiqi

    Talab talab talab bas teri hai mujhe
    Nason mein tu nasha banke ghulna yunhi
    Meri mohabbat ka karna tu haq ye adaa
    Meri hoke hamesha hi rehna
    Kabhi na kehna Alvida

    Meri subah ho tumhi aur tumhi shaam ho
    Tum dard ho, tum hi aaraam ho
    Meri duaaon se aati hai bas ye sadaa
    Meri hoke humesha hi rehna
    Kabhi na kehna Alvida

    Aa alvida
    O na na

Pertanyaan Lainnya